Nari Sashaktikaran Par Kavita-Hindi Poems on Womens

Nari Sashaktikaran Par Ek Kavita




















Jab Liya Janam Is Duniya Mein
To Farz Bhi Apna Nibhaungi
Phir Chahey Ladka Ho Ya Ladki
Mai Sabse Haath Milaungi

Jab Bhi Mujhko Milega Avsar
Kuch Karke Mai Dikhlaungi
Phir Chahey Mushkil Ho Ya Adchan
Mai Bilkul Na Ghabraungi

Jab Dekhe Koi Buri Nazar Se
Usko Mai Sabak Sikhaungi
Nari Hoon Mai Yahi Samajh Ke
Chupchaap Nahi Ho Jaungi

Nari Ka Ye Roop To Maine
Vardan Swaroop Hi Paya Hai
Nahi Mai Bhulu Kabhi Bhi Isko
Is Roop Mein Maa Ki Chaya Hai






Share this

Write a comment for "Nari Sashaktikaran Par Kavita-Hindi Poems on Womens"

Post a Comment